Wednesday, August 30, 2006

Inqlaab Zindabad 3

Inqlaab Zindabad -3

Rastrpita kahte sab usko,satya he uska nara hai
par ek sach to ye bhi hai ki vo bhagat singh ka hatyara hai
Ek baar vo kah dete to fasi na hoti krantiveer ki
par khud ko sahi dikhane ko bali de di us soorveer ki
Ye gandhi ne kab mere desh ko angrezo se chhudaya hai.
Bas unki vazah se azzadi ko humne 25 varsh der se paya hai.
Aaj vahi fir waqt khada hai ,samjho is gambheer baat ko
Galat humesha galat hai hota galti ka mat saath do
Hum tum se jyada bada humare liye ye desh hai
In netao me siva bharastachaar k ab bolo kya shesh hai
Ab bhi agar tum apne-paraye me u ulajh k he rah jaoge
Soch kahte hai mitr tumhe hum ,tum bhi bahut pachhtaoge
Bas isiliye kahte hain uthalo dhanush pe baan chadha k
Samjhado in desh shtru ko kahin aur basen ab jake

--------------------- Shubhashish Pandey

Sunday, August 27, 2006

Inqlab Zindabad-2

Inqlab Zindabad-2
Gandhi ji ki tarah tum bhi
desh ko mat barbaad karo
Kuchh karna he hai agar tumhe
to bhagat singh ko yaad karo
Kab tak hath jod k u he,
magoge apne adhikar ko
Jab khatm ho jayega sab kuchh
tab dhoondhoge kis aadhar ko
Dushman ki bandookh k aage
seena bewkoof hain taante
Are laaton k bhoot bhala
kabhi baato se hain maante
Dhaiyrya wahi tak achha hai jo
lakshya me sada sahayak ho
Uske saath wahe soolok karo
jo jis baat k layak ho
Swyam Ram bhagwan ko
tab mili rah samnder se
Sukhne k darr se jab vo
kapp uthha khud ander se

Saturday, August 26, 2006

Inqlab Zindabad

Inqlab Zindabad

Ubal raha ab raqt rago me
fir itihaas banane ko
kalam chhod bandukh uthha lo
Inqlab likhjane ko
Desh baatne valon tumko
Khoon se hum nahla denge
Is AARAKSHAn k naam ko he Hum
Samvidhaan se mita denge
Agar saamne aye to
fir tum Arjun ho ya Manmohan
Is baar hume jo roka to
Zinda tumhe jala denge

cont......................

By :------Shubhashish Pandey

Congratz U'r the
clay poker chips set
Visitor